Bewafai
Shayari
PAGE=12
Nazar Nazar Se Milane Mein Darr Lagta Hai
By : Gagan
(Views : 890)
Nazar nazar se milane mein darr lagta hai,
Mehboob ke inkaar se darr lagta
hai,
Wo khele mere dil se kuch is tarah,
Ki ab to husan-e-aaftaab se darr
lagta hai.
Naraaz
By : Gagan (Views : 1408)
abhi bhi mai naaraz nahee hu
ab kya tum se kehnaa hai...
abhi bhi mai naaraz nahee hu
ab kya tum se kehnaa hai...
tu ne jo e dil ko thoda
har tukde pe tera chehraa hai!
Shouk Hai Fareb Khaane Ka......
By : Gagan (Views :
854)
Hum ko shouk hai itna fareb khaane ka,
Dekh hi nahi sakte asal rukh zamane
ka,
Dhushmano ki mehfil mein ashna se chehre hain,
Haa yehi hai khamyaza
dosti badhane ka,
Woh jo chehre pe likhi dastan na padh paaye,
Faaida nahi
hai unko haal-e-dil sunane ka,
Qadar ashar jis mein ek bhi nahi
nikla,
Kyun lihaaz hai humko zamane ka.
Sanam Bewafaa......
By : Gagan (Views : 1038)
Likh na paaungi teri bewafaai ki daastaan,
Maine meri jaan tujhe chaha
thha bahut,
Dil dhadakta thha mera tere naam ke saath,
Maine meri jaan
tujhe socha thha bahut,
Utha jab bhi mera haath duwa ke liye,
Apne RAB se
meri jaan tujhe maanga thha bahut,
Dasti hai tere bin yeh chaandni
raatein,
Hoti hai tere bin aankhon se barsaat bahut,
Maine chaha tujhe
bhool jaaon bewafaa sanam,
Bhool kar bhi meri jaan teri yaad aati hai
bahut.
Waqt Ka Dhoka......
By : Gagan (Views : 952)
Uski yaadon mein kho kar,hum khud ko bhulaaye chale thhe,
Uski khushi
dekhne ke liye,apna har gham chhupaye chale thhe,
Na samjhe woh dil-e-nadaan
ko,jo unki hansi ke liye apne aansu bahaaye chale thhe,
Waqt ne kaisa dhoka
diya mujhe,jinko apna samjha,
Woh gair ko apna banaye chale thhe,
Hum toh
mar mitte unki adaaon pe iss tarah se ke,
Phoolon ki tarah kaante raahon mein
bichhaye chale thhe,
Hum na samjhe dastur iss zamane ka,
Jo dhoke pe dhoka
khaaye chale thhe.
Khubsoorat Zakhm.......
By : Gagan (Views : 834)
Kya khubsoorat zakhm diya banke dost humara,
Rahega yaad woh bharam diya
banke dost humara,
Andaaz dekhiye zakhm-e-dil dene ka unka,
Ilzaam bhi hum
pe lagate hain banke rahbar humara,
Karam toh dekhiye mouz-e-ghazal dene ka
unka,
Na-qaabil dost ho tum aaj kaha hai banke aftaab hamara,
Ilzaam
lagana ka hai bada hi shurfiyaana andaaz unka,
Tanhai mein hi toh lagaya hai
ilzaam banke khairkhwaah hamara,
Gagan ke zakhm par namak bhi lagaya hai
marham ki tarah,
Ghusl-e-kafan bhi diya hai janaab ne banke dost hamara.
Moti Mein Piroye Hue Sapne......
By : Gagan (Views :
565)
Motiyon mein piroye hue sapno ko toot te dekha,
Maut ko bhi maine kafi
nazdeek se dekha,
Apne ko aaj maine begana hote dekha,
Mehboob ko bhi pal
main bewafa bante hue dekha.
Wafa Ki Mehek...
By : Gagan (Views : 849)
Tamam umr bhatakte rahe gulistanon mein,
Kisi ek phool mein wafa ki mehek
na mili,
Hawas ke naam par to mooh khul gaye khazanon ke,
Wafa ke naam pe
maanga to bheek tak nahin mili.
Haathon Ki Lakeerein.....
By : Gagan (Views : 846)
Unki galiyon se jab guzre to manzar ajeeb thha,
Dard thha magar woh dil ke
kareeb thha,
Jise hum dhoondhte thhe apni haathon ki lakeeron mein,
Woh
kisi dusre ki kismat,kisi aur ka naseeb thha.
Ajab Sawaal
By : Gagan (Views : 655)
Wo mujh say poch raha tha batao kaisa laga,
Tum aglay zakham ko chodo yeh
ghao kaisa laga,
Ajab sawaal poocha aandheon nay patton say,
Shajar say
toot ke girna batao kaisa laga.
Tu Jeet Gaya Hai....
By : Gagan (Views : 1239)
dil hai ya ik khilona ,yeh hamne nahi jana,
tu khel raha jisse ,ab toot
chuka hai,
tu khush to bahut hoga,yeh khel tha tera ik,
aur hum bhi jante the,par
chup hi rahe the,
teri hi khushi dekhi,pana na kabhi socha,
hum haare hai ulfat mein,tu jeet
gaya hai...
Sharab Ya Unka Chehra
By : Gagan (Views : 580)
Nasha hum karte hain ilzaam sharab ko diya jata hai,
Par kusoor isme
sharab ka nahi,
Unka hai jinka chehra hamein har jaam mein nazar aata
hai.
Pyaar(Gam)
By : Gagan (Views : 887)
Jo log pyar ko gam samajhte hain,
Wo pyaar ko kam samajhate hain,
Dard
hota hai kitna judai mein,
Wo hum samajhate hain.
Hasrat....
By : Gagan (Views : 651)
Hasrat tumhe paane ki,
Ik hasrat bann kar reh gayi,
Yaadein tumhari
simat kar,
Tasveer bann kar reh gayi,
Karte thee baatein pyar ki,
Wo
baatein yaad bann kar reh gayi,
Milte thee jin rahoon pe,
Wo raahein
shamshaan si ho gayi.
Umeed Tumhe Paane Ki
By : Gagan (Views : 762)
Har waqt ham tumhe yaad karte hain,
Gin gin ke saanse ham udhar liya
karte hain,
Aap ko kya pata mar kar bhi hum,
Tumhari umeed mein saanse
liya karte hain.
Sirf Aap Se....
By : Gagan (Views : 747)
Kiya hai pyar aap se,
Chahe duniya ruth jaye hamse,
Chalti hai hamari
sanse tumse,
Ruk jayegi dhadkan durr na jana hamse.
Do Lafz...
By : Gagan (Views : 746)
Jaan dene ki baat se tumne jo mujhe rula diya,
Meri sachchi mohabbat ka
kya khoob tumne sila diya,
Tera saath dene ko main umr bhar rukti,
Bas do
lafz kehke tumne mujhe patthar ka bana diya.
Khud Se Puchhate Hain....
By : Gagan (Views : 672)
Yehi baat hum roj khud se puchhate hain,
Roj karte hain wada khud
se,
Ki ab na kabhi usse yaadon mein layenge,
Nahi uske baare mein soch
kar,khud par sitam dhayenge,
Roz khud se kiya wada,khud ke aansoo todd dete
hain,
Aati hai jab yaadon ki laheren,khud hi kinara chhod dete hain.
Bewafa
By : Gagan(Views : 937)
Ek Bewafa ke zakham pe marham lagane hum gaye,
Marham ki kasam, marham na
mila,
Marham ki jagah mar...hum...gaye.....
Jab Baghawat Per Mere Ghar Ki Shamaa Hi Aa Gayi
By : Gagan
(Views : 520)
Jab baghawat par mere ghar ki shamaa hi aa gayi,
Tab hawaa ka ik ishara
bhi qayamat kar gaya.
Toofaan se ulajhane ka kar shauk zara dekho,
Kya khaak maza leharon pe
kashti ko chalaane kaa.
Ab lafz bhi apni zubaan kho baithe,
Banaane jaon to baat aur bigad jati
hai.
Zakhm Khaye Hain Bahut....
By : Gagan (Views : 880)
Itne zakhm khaayi hoon main,
Ab ishq bhi hota nahi,
Darr lagta hai iss
zamane mein,
Kahin sab bewafa to nahi.
Koi Aur Naam Nahi Bacha...
By : Gagan (Views : 597)
Marham lagane ke liye abb uss chot mein dard nahi bacha,
Humein ab is
zindagi se koi lagaav bhi nahi bacha,
Wo kehte thhe ki unhe bewafa na
bulana,
Par duniya mein uske siwaa koi naam hi na bacha.
Jab Khaak Mein Mila Diya...
By : Gagan (Views : 555)
Aa kar meri mazaar par jo tune muskura diya,
Bijli chamak uthhi sara badan
jala diya,
Jeete ji na puchha dard-e-ishq ka majara,
Abb aaye hain puchhne
jab khaak mein mila diya.
Mukaam...
By : Gagan (Views : 742)
Mere kareeb se tum aise uthe,
Ki ab lagta hai jaise saath thhe hi
nahin.
Sapne batorne ke liye waqt to mila,
Par uss mukaam par mere haath
thhe hi nahin.
Sej par saath dekar tum subah aise thhe ki,
Ab lagta hai tum uss raat thhe
hi nahin.
Sapne batorne ke liye waqt to mila,
Par uss mukaam par mere
haath thhe hi nahin.
Phir ek din tum ajnabi aise hue jaise,
Dil mein kabhi koi jazbaat thhe hi
nahin.
Sapne batorne ke liye waqt to mila,
Par uss mukaam par mere haath
thhe hi nahin.
Laut kar aaye,ek baar phir tum mere paas,
Par tab wo haalaat thhe hi
nahin.
Sapne batorne ke liye waqt to mila,
Par uss mukaam par mere haath
thhe hi nahin.
KISI SE ZIKR-E JUDAAI
By : Gagan (Views : 937)
KABHI KISI SE ZIKR-E-JUDAAI MAT KARNA,
IS DIL SE KABHI RUSWAI MAT
KARNA,
JAB DIL OOB JAYE HUM SE TO BATA DENA,
NA BATA KAR BEWAFAI NA
KARNA.